Tuesday, March 24, 2009

Ek baar kaha to hota.....

Dil ki gehraayiyon se chaha tha tumhe
Iss gehraayi ko naapna seekha to hota
Jhaankh ke dekhna gavaara na sahi
Ek pathar to fekh kar dekha hota...

Shorogul me jo jazbaat samajh na paaye tum
Khamoshi me kabhi unke baare me socha to hota
Lafz sab kuch bayaan nahi karte
Kabhi ankahi ko bhi samjha to hota...

Saqt dil bankar jab baithe the hum
Tab aankho me umadte sailaab ko dekha to hota
Mohabbat kitni hai tumse ye humne na sahi
Tumne bas ek baar kaha to hota...